Teri ye ankheN.." ParwaaZ"

by ParwaaZ on December 24, 2010, 06:52:15 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 5051 times)
ParwaaZ
Guest
Reply with quote
Ahel e Bazm ko Aadaab O tasleem.....

Bade dino se shayari aur yo se door rahkar hum kalaam ka
istemaal karna hi bhool se gaye hai... Kuch tute ashaar
aapki nazar...... Usual Smile
          



Mere Band Palkon ka Khawab hai teri ye ankheN
Meri mohobbat ka Jawaab hai teri ye ankheN

Aye gul ruu aye gul badan, Kia tareef karuN maiN
JahaaN meiN sab se la jawab hai teri ye ankheN

Tu ruthe to dozak ki aag, Tu hase to jannat ka bagh
Mere hashr ka hisab kitab hai teri ye ankheN

Har shaam kayiN khaboN ke charaagh jalte haiN inse
Meri ummidoN ka aaftaab hai teri ye aankheN

Yeh jheel se bhi gehri hai aasmaaN ko sametti hai
Aakhari Parwaazi ka Khitaab hai teri ye aankheN
          


Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: December 24, 2010, 06:57:44 PM »
Reply with quote
Lovely ceation Parwaaz ji bahut baddiya.hats off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause:
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: December 24, 2010, 07:00:05 PM »
Reply with quote
parwaz ji.......dil me bht gehre utar gaye aapke ye aasahaar.......har ek lafz me sirf bht sara pyaar chhalak raha hai aapka...aur ek atut yakeen ...jiske liye bhi likhi hain waakai wo bht hi dilkash hongi.....aur bht hi lucky bhi.....

ispar kuch likhna chhaenge par abhi nahin likh pa rahe...kal subah zarur kuch likhungi ji.......
Logged
nirala
Guest
«Reply #3 on: December 24, 2010, 07:19:26 PM »
Reply with quote
Waah kya Mohabbat bhara Tareef kari aapne Ankhon ki.
khubsurat alfazon ka bakhubi istemal.
""
  jhukti palkon ke saath uske
        jhukta aasmaan hai
doob jaun aankho ki gehrai me uske
     ke unn aankhon me hi saara jahaan hai 
""
'
thanx
'
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: December 24, 2010, 07:54:33 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut bahaut aur bahaut khoob Parwaaz jee..
mujhe bahaut maza aya parr kar..
bahaut mohobat hai isme..
Sada Khush rahiye..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: December 24, 2010, 09:11:03 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Parwaaz Ji
Logged
shabbir143
Guest
«Reply #6 on: December 25, 2010, 07:04:01 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #7 on: December 25, 2010, 08:07:10 AM »
Reply with quote
parwaaj ji bht bht sweet likha he apne.....esi ankho wali ko me janta hu apne uski ankho ki puri tasveer bana di he shabdo se superb
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #8 on: December 25, 2010, 08:11:33 AM »
Reply with quote
Aye gul ruu aye gul badan, Kia tareef karuN maiN
JahaaN meiN sab se la jawab hai teri ye ankheN

Tu ruthe to dozak ki aag, Tu hase to jannat ka bagh hai
Mere hashr ka hisab kitab hai teri ye ankheN


Bahut Hi Umdaa Khayaal ....... Parwaaz Ji !

Bahut romaantic aur touching ehsaas ... dil ko gudgudaa dene waali peshkash rahi aapki ... ishq par kahe sabhi ashaar bahut khoob bane hai ... tahe dil se daad hazir hai ... aise hi aate rahen aur likhte rahen aage bhi ... khush rahen ...

SuperBBBBBBBBBBBBBB Creation ........ !

duaaon ke saath ... !
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #9 on: December 25, 2010, 04:27:25 PM »
Reply with quote
Ahel e Bazm ko Aadaab O tasleem.....

Bade dino se shayari aur yo se door rahkar hum kalaam ka
istemaal karna hi bhool se gaye hai... Kuch tute ashaar
aapki nazar...... Usual Smile
         



Mere Band Palkon ka Khawab hai teri ye ankheN
Meri mohobbat ka Jawaab hai teri ye ankheN

Aye gul ruu aye gul badan, Kia tareef karuN maiN
JahaaN meiN sab se la jawab hai teri ye ankheN

Tu ruthe to dozak ki aag, Tu hase to jannat ka bagh hai
Mere hashr ka hisab kitab hai teri ye ankheN

Har shaam kayiN khaboN ke charaagh jalte haiN inse
Meri ummidoN ka aaftaab hai teri ye aankheN

Yeh jheel se bhi gehri hai aasmaaN ko sametti hai
Aakhari Parwaazi ka Khitaab hai teri ye aankheN
         




Behetreen parwaaz ji bahut hi behetreen likha hai...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #10 on: December 25, 2010, 06:13:37 PM »
Reply with quote
bahoooooot sunder likha hai parwaz ji  Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #11 on: December 26, 2010, 09:43:31 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Parwaaz JI Bahut Hi Sunder Likha Hai Aapne Padh Kar Accha laga Applause Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #12 on: January 08, 2012, 01:01:44 PM »
Reply with quote
Ahel e Bazm ko Aadaab O tasleem.....

Bade dino se shayari aur yo se door rahkar hum kalaam ka
istemaal karna hi bhool se gaye hai... Kuch tute ashaar
aapki nazar...... Usual Smile
          



Mere Band Palkon ka Khawab hai teri ye ankheN
Meri mohobbat ka Jawaab hai teri ye ankheN

Aye gul ruu aye gul badan, Kia tareef karuN maiN
JahaaN meiN sab se la jawab hai teri ye ankheN

Tu ruthe to dozak ki aag, Tu hase to jannat ka bagh hai
Mere hashr ka hisab kitab hai teri ye ankheN

Har shaam kayiN khaboN ke charaagh jalte haiN inse
Meri ummidoN ka aaftaab hai teri ye aankheN

Yeh jheel se bhi gehri hai aasmaaN ko sametti hai
Aakhari Parwaaz ka Khitaab hai teri ye aankheN
          





bahut khoob................!
Logged
mkv
Guest
«Reply #13 on: January 26, 2012, 10:33:30 AM »
Reply with quote
Bahut Umda Parwaaz bhai
kya likha hai aapne ...Daad Daad Daad
Applause Applause Applause
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #14 on: January 26, 2012, 02:15:45 PM »
Reply with quote
MashAllah Kya Umda peshkash Ki hai aapne.. Bahoot Bahoot Khoob Parwaaz ji.. Kahan Gayab hai aajkal aap ?
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 01:57:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer