~~"JEHAR PILAATI HAI ZINDAGI"~~Shally.

by k.shael on April 27, 2009, 06:01:30 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2689 times)
k.shael
Guest
«Reply #15 on: July 08, 2009, 08:15:38 AM »
Reply with quote
Wah Kya Baat hai SHALLY.. Bahut Khooooob Likha Hai..!!
Zindgi Ke Dard Ko Lafzon me Dhaal kar Behad Khubsoorati se Pesh Kiya hai aapne..!! Bahut Khooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**

Shukriya Mann Ji, Aapne ghazal ko keemti waqt diya aur saraha.

Shally,.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Happy birthday "SHALLY" 18 Dec by bekarar in The Wishes and Celebrations « 1 2  All »
~~"KHUD KO RULAYA MAINE"~~ Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3 4 »
~~"CHEHRE SE PARDA UTHAO ZARA"~~ by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3  All »
~~"ANJAAM BAHUT DOOR HAI"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"KISI KE JAANE SE"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
madhuwesh
Guest
«Reply #16 on: July 08, 2009, 08:39:40 AM »
Reply with quote
Wah Shally ji aur Pank ji ,very nice and beautiful creation, icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
smardia
Guest
«Reply #17 on: August 05, 2009, 12:09:52 PM »
Reply with quote
ek aur shaandaar gazal...wah ! wah ! Shallyji... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Suna tha zindadilli ka naam hai zindagi
Hasi aur muskurahato ka jaam hai zindagi
Pyaar mohabat romance einaam hai zindagi
Yaaron  hame raas  nahi aayee ye zindagi
Laga  toofano ki  tarang hai  ye zindagi
Aandheeyon  ka  silsila  hai  ye zindagi

Iss zindagi ne bahut gamm diye hai, unhi me se kuch ko bayaa.n kar rahi hoo.n
aur mere ek dost SANJU ne request bhi ki thi ki mein use zindagi pe kuch likh ke dikhao so aap sab ke nazar kar rahi hoo.n apni iss zindagi ki ghazal ko,umeed karti hoo.n aap sab pasand karnege...



Zindagi ki doy.d se kahiin bhali hai mout ki aakhiri ghadi,
Jala kar apne takkabur me har roz tadpati hai ye zindagi…

Kam-sukhan hoon iss liye kuch keh nahi paata kisi se bhi,
Dil ko hai pata ki har lamhe pe jehar pilaati hai ye zindagi…

Marasam aise hai ki jinhe nibhana mere bass me nahi lekin,
Phir bhi inn ke aage mujhe khoob nachwati hai ye zindagi…

Dosti, Pyaar, Mohabbat sab hai bikte iss matlabi duniyaa me,
Na chah kar bhi mujhe inn rasmo se baandhti hai ye zindagi…

Sar-ba-girebaan rehna aadat si ho gayi hai aab iss nacheez ki,
Kyunki roti ki jagah kayi baar gaaliyaa dilwati hai ye zindagi…

Hass to leta hoon mehfil-e-jaam me yaroo.n ke saath Shally,
Kambhakht tanhayi me bahut, bahut rulaati hai ye zindagi…

Shally.

Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 11:41:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.184 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer