woh chup raha

by nikki on July 03, 2005, 03:11:49 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 13
ReplyPrint
Author  (Read 11706 times)
nikki
Guest
Reply with quote
aaj uski nazron ne mujhse baat ki
magar woh chup raha

main dekhti rahi uska chehra
padhti rahi uski nazron ko
magar khud woh chup raha

maine ki usse hazaron baatein
magar woh chup raha

woh sunata raha mujhe duniya ke kisse
magar apni baat par chup raha

humne sajaye the anekon khawaab zindagi ke liye
jab un khawaabon ki tabeer poochi
to woh chup raha

uske dil ki baat sun-ne ko thi main bekraar
magar woh zalim chup raha

hum yuhi dheere-2 juda ho gaye
usne kuch bhi na kiya milne ka jattan
aur bas chup raha

aaj jab bhi aati hai mujhe uski yaad
to soch kar hairaan hoti hun
kyun woh har jagah, har baat par chup raha
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Buhat Chup chup Sey Rehtey Hoo by muneeb in Shayri-E-Dard
Chup chup rota hai by karan_sim in Shayri for Dard -e- Judai
Chup chup ke shigafon say by Qutubuddin in Ghazals
Chup chup rehna.... by ishu_singh10 in Miscellaneous Shayri
aise chup chup bhi--NM by sarfira in Share:Love Poetry
sanya310
Guest
«Reply #1 on: July 03, 2005, 04:15:14 PM »
Reply with quote
aww nikki kya likha hai...superb!!!! bohot hi achhe! nice words... :D
Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: July 03, 2005, 04:32:28 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Sanya sis..................................koi to bola hehe....................
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: July 03, 2005, 05:33:59 PM »
Reply with quote
Bohot hi khoob Nikki........!!

Wo har baat pe chup raha
Saare sawalaat pe chup raha
Jazbaat jo zaahir kiye saamne uske
Jaane kya soch ke chup raha
Magar khabar hai hume bhi
Khamoshi main uski hai mohabbat
Dil ko dil ki khabar ho jaati hai khud hi
Yahi soch kar wo har baat pe chup raha !!!!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #4 on: July 03, 2005, 05:36:01 PM »
Reply with quote
thanx and Bahut bahut acha likha hai Talat sis................
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: July 03, 2005, 05:59:34 PM »
Reply with quote
Shukriya Nikki ............. !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: July 03, 2005, 08:08:43 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
aaj uski nazron ne mujhse baat ki
magar woh chup raha

main dekhti rahi uska chehra
padhti rahi uski nazron ko
magar khud woh chup raha

maine ki usse hazaron baatein
magar woh chup raha

woh sunata raha mujhe duniya ke kisse
magar apni baat par chup raha

humne sajaye the anekon khawaab zindagi ke liye
jab un khawaabon ki tabeer poochi
to woh chup raha

uske dil ki baat sun-ne ko thi main bekraar
magar woh zalim chup raha

hum yuhi dheere-2 juda ho gaye
usne kuch bhi na kiya milne ka jattan
aur bas chup raha

aaj jab bhi aati hai mujhe uski yaad
to soch kar hairaan hoti hun
kyun woh har jagah, har baat par chup raha


bahoot khoob likha hai Nikki ji .....

mere armano ko milgaya hai aaj ik bahana
sadiyon baad mere dil ko koyi dhadka gaya hai

yeh ehsas naya hai jo mainey jiya hai
mujh sey milkey koyi meri rooh pagaya hai

kya khab tha koyi ya haseen naghma
tumharey madhur labooN se gunguna gaya hai

khud se juda hokar is deewangi mein ji kar
"HumTum" vo lamha aashiqhi ka mujh ko pagaya hai !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #7 on: July 03, 2005, 08:18:24 PM »
Reply with quote
wah kya baat hai Humtum.............jab bhi likhte ho speechless kar dete ho.
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #8 on: July 03, 2005, 08:34:04 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
aaj uski nazron ne mujhse baat ki
magar woh chup raha

main dekhti rahi uska chehra
padhti rahi uski nazron ko
magar khud woh chup raha

maine ki usse hazaron baatein
magar woh chup raha

woh sunata raha mujhe duniya ke kisse
magar apni baat par chup raha

humne sajaye the anekon khawaab zindagi ke liye
jab un khawaabon ki tabeer poochi
to woh chup raha

uske dil ki baat sun-ne ko thi main bekraar
magar woh zalim chup raha

hum yuhi dheere-2 juda ho gaye
usne kuch bhi na kiya milne ka jattan
aur bas chup raha

aaj jab bhi aati hai mujhe uski yaad
to soch kar hairaan hoti hun
kyun woh har jagah, har baat par chup raha


Very nice nikki
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: July 03, 2005, 08:44:49 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
wah kya baat hai Humtum.............jab bhi likhte ho speechless kar dete ho.


Shukriya Nikki ji par aap se behtar nhi likha humney !!
Logged
SINGROHA
Guest
«Reply #10 on: July 03, 2005, 08:50:42 PM »
Reply with quote
very nicely written nikki
speak less to people whom u love the most....
bcoz if they can't understand ur silence....
they can't understand ur words.
isliye vo chup raha
Logged
nikki
Guest
«Reply #11 on: July 03, 2005, 08:56:14 PM »
Reply with quote
Quote from: "SINGROHA"
very nicely written nikki
speak less to people whom you love the most....
bcoz if they can't understand ur silence....
they can't understand ur words.
isliye vo chup raha


so true.......n very nice Singroha ji........

thanx a lot Rohit n Humtum.....aap maan lo aap acha likhte ho
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: July 04, 2005, 03:45:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
aaj uski nazron ne mujhse baat ki
magar woh chup raha

main dekhti rahi uska chehra
padhti rahi uski nazron ko
magar khud woh chup raha

maine ki usse hazaron baatein
magar woh chup raha

woh sunata raha mujhe duniya ke kisse
magar apni baat par chup raha

humne sajaye the anekon khawaab zindagi ke liye
jab un khawaabon ki tabeer poochi
to woh chup raha

uske dil ki baat sun-ne ko thi main bekraar
magar woh zalim chup raha

hum yuhi dheere-2 juda ho gaye
usne kuch bhi na kiya milne ka jattan
aur bas chup raha

aaj jab bhi aati hai mujhe uski yaad
to soch kar hairaan hoti hun
kyun woh har jagah, har baat par chup raha

Wah Nikki Bohat hi khoob!!!
 Talat & HumTum bohat achey....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #13 on: July 04, 2005, 03:51:08 AM »
Reply with quote

Ho udaas tum udhar, khush tau main bhi judaa ho kar nahi
Kehti ho berukhi tum jisko, meri khamoshi ki woh tarjumaan tau nahi
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #14 on: July 04, 2005, 03:55:45 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
aaj uski nazron ne mujhse baat ki
magar woh chup raha

main dekhti rahi uska chehra
padhti rahi uski nazron ko
magar khud woh chup raha

maine ki usse hazaron baatein
magar woh chup raha

woh sunata raha mujhe duniya ke kisse
magar apni baat par chup raha

humne sajaye the anekon khawaab zindagi ke liye
jab un khawaabon ki tabeer poochi
to woh chup raha

uske dil ki baat sun-ne ko thi main bekraar
magar woh zalim chup raha

hum yuhi dheere-2 juda ho gaye
usne kuch bhi na kiya milne ka jattan
aur bas chup raha

aaj jab bhi aati hai mujhe uski yaad
to soch kar hairaan hoti hun
kyun woh har jagah, har baat par chup raha


mai chup raha her batt per teri,....
sochker k tu kahi haira na ho,.....
mai chup raha aapni diwangi per bhi,....
k tu kabhi juda hoker pareshan na ho,....
jo hai mere pass gam dher bahut,....
unhe paker tu gamgeen na ho,....
mai chup raha teri pyar ki bato per,....
k kahi tu kabhi mujhse bichadker ,.....
duniya ki bhir me ruswa na ho...........
jo hogi tu gamgeen mai jee na sakunga,..
tujhe gam deker aapne mai mar bhi na sakunga,....
maine tujhe pyar kiya hai tu kabhi roye na gam se,....
pyar kerta hu tujhe ye bhi kabhi shayad keh na sakunga,.....
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
July 19, 2025, 05:18:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.189 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8513 Real Poets and poetry admirer