~~"HAR LADKI KI ZINDGANI"~~by Shally.

by k.shael on May 16, 2009, 11:23:31 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4516 times)
k.shael
Guest
Reply with quote
Dear friends,

Aaj maine ek ladki ki kahani likhi hai,bachpan se lekar mout tak ki kahani,wo kahani jise wo aksar apne daman me chupa kar rakhti hai, kya kya hota hai uski zindagi me yahi bass batane ki koshish ki hai, uske har padaav ko 2 lines me likha hai umeed hai aap sab pasandh karenge, khas-kar ye meri taraf se har ladki ke liye hai...

Daman me apne maine bachpan ki yaadein chupayi hai,
Wo kaanch ki gudiya wo paani ki kashti bithayi hai,

Wo ahde-jawani me ki hui mohabbat-ruswayi ki baatein,
Wo judayi ki peer aab talak ghutan me samayi hai,

Wo shaadi karke jaana kisi aur ke ghar ban ke sangini uski,
Wo chandni raatein jo saath apne sanam ke bitayi hai,

Wo bacho ka aana mere jeewan me aur duniya ka khilna,
Maine unki har shararat har yaad shiddat se sajayi hai,

Nibhte-nibhate zindagi ke har modd se himmat ke saath,
Lo aaj waqt ke saath peeri bhi milne chali aayi hai,

Kya kuch sahej kar rakh liya apne iss daaman me Shally,
Aaj jo sametne jaa rahi ho wo meri aakhiri widaayi hai...

Shally.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"KHUD KO RULAYA MAINE"~~ Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3 4 »
~~"JEHAR PILAATI HAI ZINDAGI"~~Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"CHEHRE SE PARDA UTHAO ZARA"~~ by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3  All »
~~"ANJAAM BAHUT DOOR HAI"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"KISI KE JAANE SE"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: May 16, 2009, 11:31:07 AM »
Reply with quote
Dear friends,

Aaj maine ek ladki ki kahani likhi hai,bachpan se lekar mout tak ki kahani,wo kahani jise wo aksar apne daman me chupa kar rakhti hai, kya kya hota hai uski zindagi me yahi bass batane ki koshish ki hai, uske har padaav ko 2 lines me likha hai umeed hai aap sab pasandh karenge, khas-kar ye meri taraf se har ladki ke liye hai...

Daman me apne maine bachpan ki yaadein chupayi hai,
Wo kaanch ki gudiya wo paani ki kashti bithayi hai,

Wo ahde-jawani me ki hui mohabbat-ruswayi ki baatein,
Wo judayi ki peer aab talak ghutan me samayi hai,

Wo shaadi karke jaana kisi aur ke ghar ban ke sangini uski,
Wo chandni raatein jo saath apne sanam ke bitayi hai,

Wo bacho ka aana mere jeewan me aur duniya ka khilna,
Maine unki har shararat har yaad shiddat se sajayi hai,

Nibhte-nibhate zindagi ke har modd se himmat ke saath,
Lo aaj waqt ke saath peeri bhi milne chali aayi hai,

Kya kuch sahej kar rakh liya maine apne iss daaman me,
Aaj jo sametne jaa rahi ho wo meri aakhiri widaayi hai...

Shally.

Behtareen >. bahoot bahoot Khoob Shally... Well expressed Shally.. Tumne kam sabdo mea Ladki k pure jeevan ko bakoobi bayaan kiyaa hai..
 Applause Applause Applause Applause
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #2 on: May 16, 2009, 11:31:23 AM »

FAAAAAAANE
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #3 on: May 16, 2009, 11:32:12 AM »
Reply with quote
Badi hi jazwati ghazal hai ye, Shally Ji
very very nice
SARVESH RASTOGI
Logged
k.shael
Guest
«Reply #4 on: May 16, 2009, 11:33:00 AM »
Reply with quote
Behtareen >. bahoot bahoot Khoob Shally... Well expressed Shally.. Tumne kam sabdo mea Ladki k pure jeevan ko bakoobi bayaan kiyaa hai..
 Applause Applause Applause Applause

Shukriya Sophi Dear,

Bahut khushi hui apne thread par pehla comment aapka dekhkar, tahe dil se shukriya..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #5 on: May 16, 2009, 11:33:32 AM »
Reply with quote

FAAAAAAANE

Sorry aapka comment samjh nahi aaya, kya kehna chahte hai aap ??

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #6 on: May 16, 2009, 11:34:10 AM »
Reply with quote
Badi hi jazwati ghazal hai ye, Shally Ji
very very nice
SARVESH RASTOGI

Shukriya Sarvesh Ji, Aapne ghazal ko pasandh kiya mehnat kabool ho gayi.

Shally.
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #7 on: May 16, 2009, 11:36:59 AM »
Reply with quote
subhan allah , bahoth qoob shally bahoth umda peshkash dil se dad qubool karen !!

Qadeer
Logged
k.shael
Guest
«Reply #8 on: May 16, 2009, 11:38:17 AM »
Reply with quote
subhan allah , bahoth qoob shally bahoth umda peshkash dil se dad qubool karen !!

Qadeer

Shukriya Qadeer Ji, Aapne ghazal ko kabool kiya dil ko sakoon mil gaya.

Shally.
Logged
pandit
Guest
«Reply #9 on: May 16, 2009, 02:59:07 PM »
Reply with quote
WAAH SHALLY JE..
KYA BAAT HAI....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #10 on: May 16, 2009, 04:44:41 PM »
Reply with quote
Wah Wah Wah!!! Bahut Hi Khoob Shally Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley

Bahut Hi jazbaati Aur Khoobsurat Peshkash!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: May 16, 2009, 05:01:11 PM »
Reply with quote
Nice creation Shael
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: May 16, 2009, 05:15:37 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Shally...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #13 on: May 17, 2009, 03:01:37 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob shally ji,
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #14 on: May 17, 2009, 05:00:27 AM »
Reply with quote
Sorry aapka comment samjh nahi aaya, kya kehna chahte hai aap ??

Shally.

VERII VERII  NAAAICE....!! K.S
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 07:04:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer